image
downloadDownload
shareShare
ShareWhatsApp

Saraswati Chalisa

Seeking Goddess Saraswati’s blessings? Read Saraswati Chalisa in English—40 powerful verses that glorify Maa Saraswati’s divine wisdom and knowledge!

Sarswati Chalisa Doha in English

Janak Janani Pad Kamal Raj, Nij Mastak Par Dhaari. Bandau Maatu Saraswati, Buddhi Bal De Dataari.

Poorn Jagat Mein Vyaapt Tava, Mahima Amit Anantu. Ram Sagar Ke Paap Ko, Maatu Tuhi Ab Hantu.

Sarswati Chalisa in English

Jai Shri Sakal Buddhi Balrasi, Jai Sarvagya Amar Avinaasi.

Jai Jai Jai Veenaakar Dhaari, Karti Sada Suhans Sawari.

Roop Chaturbhujdhari Mata, Sakal Vishv Andar Vikhyata.

Jag Mein Paap Buddhi Jab Hoti, Jabhi Dharm Ki Feeki Jyoti.

Tabhi Maatu Le Nij Avataara, Paap Heen Karti Mahii Taraa.

Valmiki Ji The Bahum Gyaani, Tava Prasada Jaane Sansara.

Ramayan Jo Rache Banayi, Aadi Kavi Ki Padvi Payi.

Kalidas Jo Bhaye Vikhyata, Teri Kripa Drishti Se Mata.

Tulsi Sur Aadi Viddhaana, Bhaye Aur Jo Gyaani Naana.

Tinhin Na Aur Rahe Avlamba, Keval Kripa Aapki Amba.

Karhu Kripa Soi Maatu Bhavani, Dukhit Deen Nij Daasahi Jaani.

Putra Karai Apraadh Bahuta, Tehi Na Dharai Chit Sundar Mata.

Raakh Laj Janani Ab Meri, Vinay Karun Bahu Bhaanti Gheri.

Main Anath Teri Avlamba, Kripa Karu Jai Jai Jagdamba.

Madhukaitabh Jo Ati Balvaana, Bahyayudh Vishnu Te Thaana.

Samar Hazaar Paanch Mein Ghora, Phir Bhi Mukh Unse Nahin Mora.

Maatu Sahay Bhai Tehi Kaala, Buddhi Vipareet Kari Khalhaala.

Tehi Te Mrityu Bhai Khal Keeri, Purvahu Maatu Manorath Meri.

Chand Mund Jo The Vikhyata, Chhan Mahun Sanhaareu Tehi Mata.

Raktbeej Se Samarth Paapi, Sur-Muni Hriday Dhara Sab Kaapi.

Kaatyeu Sir Jim Kadali Khamba, Baar Baar Binavun Jagdamba.

Jag Prasiddh Jo Shumbh Nishumbha, Chhin Mein Badhe Taahi Tu Amba.

Bharat-Maatu Budhi Fereu Jaai, Ramchandra Banvaas Karai.

Ehi Vidhi Ravan Vadh Tum Keenha, Sur Nar Muni Sab Kahun Sukh Deenha.

Ko Samarth Tav Yash Gun Gaana, Nigam Anadi Anant Bakhana.

Vishnu Rudra Aj Sakahin Na Maari, Jinki Ho Tum Rakshaakaari.

Rakt Dantika Aur Shatakshi, Naam Apaar Hai Daanav Bhakshi.

Durgam Kaaj Dhara Par Keenha, Durga Naam Sakal Jag Leenha.

Durga Aadi Harni Tu Mata, Kripa Karhu Jab Jab Sukh Daata.

Nrip Kopit Jo Maaran Chahai, Kanan Mein Ghere Mrig Naahai.

Saagar Madhya Pot Ke Bhangay, Ati Toofan Nahin Kou Sangay.

Bhoot Pret Baadha Ya Dukh Mein, Ho Daridra Athva Sankat Mein.

Naam Jape Mangal Sab Hoee, Sanshay Ismein Karai Na Kouee.

Putraheen Jo Aatur Bhai, Sabhi Chhadi Poojein Ehi Maai.

Karai Paath Nit Yah Chaleesa, Hoy Putra Sundar Gun Isha.

Dhoopadik Naivedya Chhadaave, Sankat Rahit Avashya Ho Jaave.

Bhakti Maatu Ki Karai Hamesha, Nikat Na Aave Taahi Kalesha.

Bandi Paath Karein Shat Baara, Bandi Paash Door Ho Saara.

Karhu Kripa Bhavamukti Bhavani, Mo Kah Das Sada Nij Jaane.

Sarswati Chalisa Doha in English

Mata Suraj Kanti Tava, Andhkaar Mam Roop. Dooban Te Raksha Karhu, Parun Na Main Bhav-Koop.

Bal Buddhi Vidya Dehun Mohe, Sunhu Saraswati Maatu. Adham Ram-Sagarahin Tum, Ashray Deu Punaatu.

divider
Published by Sri Mandir·April 21, 2025

Did you like this article?

srimandir-logo

Sri Mandir has brought religious services to the masses in India by connecting devotees, pundits, and temples. Partnering with over 50 renowned temples, we provide exclusive pujas and offerings services performed by expert pandits and share videos of the completed puja rituals.

Address:

Firstprinciple AppsForBharat Private Limited 435, 1st Floor 17th Cross, 19th Main Rd, above Axis Bank, Sector 4, HSR Layout, Bengaluru, Karnataka 560102

Play StoreApp Store

Follow us on

facebookinstagramtwitterwhatsapp

© 2025 SriMandir, Inc. All rights reserved.