image
downloadDownload
shareShare
ShareWhatsApp

Santoshi Chalisa

Seeking Goddess Santoshi’s blessings? Read Santoshi Chalisa in English—40 powerful verses that glorify Maa Santoshi’s grace, kindness, and divine protection!

Santoshi Chalisa Lyrics

In Sanatan Dharma, Santoshi Mata holds a special place. But do you know that Santoshi Mata is the daughter of Lord Ganesha? According to religious beliefs, if a devotee recites the Santoshi Mata Chalisa every Friday, they receive the blessings of peace and satisfaction. If someone recites it daily, their life fills with positivity, and with the grace of Mata, all their wishes come true.

Santoshi Mata Chalisa Doha

Bandau Santoshi charan, Riddhi-Siddhi dataar। Dhyan dharat hi hot nar, dukh saagar se paar॥

Bhakton ko santosh de, Santoshi tav naam। Kripa karahu Jagdamba, ab aaya tere dham॥

Santoshi Mata Chalisa Chaupai

Jai Santoshi Mata anupam। Shanti daayini roop manoram॥

Sundar varan chaturbhuj roop। Vesh manohar lalit anup॥

Shvetambar roop manhaari। Maa tumhari chhavi jag se nyaari॥

Divya swaroopa aayat lochan। Darshan se ho sankat mochan॥

Jai Ganesh ki suta Bhavani। Riddhi-Siddhi ki putri gyani॥

Agam agochar tumhari maya। Sab par karo kripa ki chhaya॥

Naam anek tumhare mata। Akhil vishv hai tumko dhyata॥

Tumne roop anekon dhare। Ko kahi sake charitra tumhare॥

Dhaam anek kahan tak kahiye। Sumiran tab karke sukh lahiye॥

Vindhyachal mein Vindhyavasini। Koteswar Saraswati suhasini॥

Kalkatte mein tu hi Kali। Dusht nashini Mahakaali॥

Sambhalpur Bahuchara kahati। Bhaktjanon ka dukh mitati॥

Jwala Ji mein Jwala Devi। Poojat nitya bhakt jan sevi॥

Nagar Bambai ki Maharani। Maha Lakshmi tum Kalyani॥

Madura mein Meenakshi tum ho। Sukh dukh sabki sakshi tum ho॥

Rajnagar mein tum Jagdambe। Bani Bhadrakali tum Ambe॥

Pavagadh mein Durga Mata। Akhil vishv tera yash gata॥

Kashipuradhishwari Mata। Annapurna naam suhata॥

Sarvanand karo Kalyani। Tumhi Sharada Amritvani॥

Tumhari mahima jal mein thal mein। Dukh daridra sab meto pal mein॥

Jete rishi aur munisha। Narad dev aur devesha॥

Is jagti ke nar aur naari। Dhyan dharat hain maat tumhari॥

Jaapar kripa tumhari hoti। Wah paata bhakti ka moti॥

Dukh daridra sankat mit jata। Dhyan tumhara jo jan dhyata॥

Jo jan tumhari mahima gaave। Dhyan tumhara kar sukh paave॥

Jo man rakhe shuddh bhavana। Taaki poorn karo kamana॥

Kumati nivari sumati ki daatri। Jayati Jayati Mata Jagdhatri॥

Shukravaar ka divas suhaavan। Jo vrat kare tumhara paavan॥

Gud chhole ka bhog lagave। Katha tumhari sune sunaave॥

Vidhivat pooja kare tumhari। Phir prasad paave shubhkaari॥

Shakti-saamarth ho jo dhanko। Daan-dakshina de vipran ko॥

Ve jagti ke nar au naari। Manvaanchhit phal paave bhaari॥

Jo jan sharan tumhari jaave। So nishchay bhav se tar jaave॥

Tumharo dhyan kumari dhyave। Nishchay manvaanchhit var paave॥

Sadhva pooja kare tumhari। Amar suhagin ho vah naari॥

Vidhwa dhar ke dhyan tumhara। Bhavsagar se utre paara॥

Jayati Jayati Jai Sankat Harni। Vighn Vinashan Mangal Karni॥

Hum par sankat hai ati bhaari। Veg khabar lo Maat hamaari॥

Santoshi Mata Chalisa Doha

Santoshi Maa ke sada, bandahun pag nish vaas। Poorn manorath ho sakal, Maat haro bhav traas॥ ॥ Iti Shri Santoshi Mata Chalisa ॥ Shri Mandir Sahitya mein paayein sabhi mangalmay Chalisa ka sangrah।

divider
Published by Sri Mandir·April 21, 2025

Did you like this article?

srimandir-logo

Sri Mandir has brought religious services to the masses in India by connecting devotees, pundits, and temples. Partnering with over 50 renowned temples, we provide exclusive pujas and offerings services performed by expert pandits and share videos of the completed puja rituals.

Address:

Firstprinciple AppsForBharat Private Limited 435, 1st Floor 17th Cross, 19th Main Rd, above Axis Bank, Sector 4, HSR Layout, Bengaluru, Karnataka 560102

Play StoreApp Store

Follow us on

facebookinstagramtwitterwhatsapp

© 2025 SriMandir, Inc. All rights reserved.