Seeking Sai Baba’s blessings? Read Sai Baba Chalisa in English—40 powerful verses that glorify Sai Baba’s compassion, guidance, and divine grace!
Sai Baba was pure and simple, and he wanted his devotees to be the same—honest and humble. Worshipping him with a true heart is enough to receive his blessings. Chanting Shri Sai Chalisa can help remove sorrows and obstacles from life. If your devotion is sincere, Sai Baba’s grace can turn your troubles into success. So why wait? Let's recite Shri Sai Chalisa with faith and receive his divine blessings!
Pehle Sai ke charanon mein, Apna sheesh namaun main। Kaise Shirdi Sai aaye, Saara haal sunaun main॥
Kaun hai mata, pita kaun hai, Ye na kisi ne bhi jaana। Kahan janm Sai ne dhaara, Prashn paheli raha bana॥
Koi kahe Ayodhya ke, Ye Ramchandra Bhagwan hain। Koi kehta Sai Baba, Pavan putra Hanuman hain॥
Koi kehta Mangal murti, Shri Gajanand hain Sai। Koi kehta Gokul Mohan, Devaki Nandan hain Sai॥
Shankar samjhe bhakt kai to, Baba ko bhajte rehte। Koi keh avataar datt ka, Pooja Sai ki karte॥
Kuch bhi maano unko tum, Par Sai hain sacche Bhagwan। Bade dayalu deenbandhu, Kitnon ko diya jeevan daan॥
Kai varsh pehle ki ghatna, Tumhe sunaunga main baat। Kisi bhagyashaali ki, Shirdi mein aayi thi baraat॥
Aaya saath usi ke tha, Baalak ek bahut sundar। Aaya, aakar wahiin bas gaya, Pavan Shirdi kiya nagar॥
Kai dinon tak bhatkata, Bhiksha maang usne dar-dar। Aur dikhayi aisi leela, Jag mein jo ho gayi amar॥
Jaise-jaise amar umar badhi, Badhti hi waise gayi shaan। Ghar-ghar hone laga nagar mein, Sai Baba ka gungaan ॥
Dig-digant mein laga goonjne, Phir to Sai ji ka naam। Deen-dukhiyon ki raksha karna, Yahi raha Baba ka kaam॥
Baba ke charanon mein jaakar, Jo kehta main hoon nidhan। Daya usi par hoti unki, Khul jaate dukh ke bandhan॥
Kabhi kisi ne maangi bhiksha, Do Baba mujhko santaan। Evam astu tab kehkar Sai, Dete the usko vardaan॥
Swayam dukhii Baba ho jaate, Deen-dukhiyon ka lakh haal। Antahkaran Shri Sai ka... Sagar jaisa raha vishal॥
Bhakt ek Madrasi aaya, Ghar ka bahut bada dhanvaan। Maal khajana behad uska, Keval nahi rahi santaan॥
Laga manane Sainath ko, Baba mujh par daya karo। Jhanjha se jhankrit naiya ko, Tumhi meri paar karo॥
Kuldeepak ke bina andhera, Chaaya hua ghar mein mere। Isliye aaya hoon Baba, Hokar sharanagat tere॥
Kuldeepak ke abhav mein, Vyarth hai daulat ki maya। Aaj bhikhari bankar Baba, Sharan tumhari main aaya॥
De do mujhko putra-daan, Main rini rahunga jeevan bhar। Aur kisi ki aasha na mujhko, Sirf bharosa hai tum par॥
Anunay-vinay bahut ki usne, Charanon mein dhar ke sheesh। Tab prasann hokar Baba ne, Diya bhakt ko yeh aashish॥
“Allaa bhala karega tera”, Putra janm ho tere ghar। Kripa rahegi tujh par uski, Aur tere us baalak par॥
Ab tak nahi kisi ne paaya, Sai ki kripa ka paar। Putra ratna de Madrasi ko, Dhanya kiya uska sansaar॥
Tan-man se jo bhaje usi ka, Jag mein hota hai uddhar। Saanch ko aanch nahi hain koi, Sada jhooth ki hoti haar॥
Main hoon sada sahaare uske, Sada rahunga uska daas। Sai jaisa Prabhu mila hai, Itni hi kam hai kya aas॥
Mera bhi din tha ek aisa, Milti nahi mujhe roti। Tan par kapda door raha tha, Shesh rahi nanhi si langoti॥
Sarita sanmukh hone par bhi, Main pyaasa ka pyaasa tha। Durdin mera mere upar, Daavagni barsata tha॥
Dharati ke atirikt jagat mein, Mera kuch avalamb na tha। Bana bhikhari main duniya mein, Dar-dar thokar khata tha॥
Aise mein ek mitra mila jo, Param bhakt Sai ka tha। Janjaalon se mukt magar, Jagati mein vah bhi mujhsa tha॥
Baba ke darshan ki khaatir, Mil dono ne kiya vichar। Sai jaise daya murti ke, Darshan ko ho gaye taiyaar॥
Paavan Shirdi nagar mein jaakar, Dekh matwaali moorti। Dhanya janm ho gaya ki humne, Jab dekhi Sai ki soorati॥
Jab se kiye hain darshan humne, Dukh saara kafoor ho gaya। Sankat saare mitay aur, Vipadaaon ka ant ho gaya॥
Maan aur sammaan mila, Bhiksha mein humko Baba se। Pratibimbit ho uthe jagat mein, Hum Sai ki aabha se॥
Baba ne sanmaan diya hai, Maan diya is jeevan mein। Iska hi sambal le main, Hansta jaunga jeevan mein॥
Sai ki leela ka mere, Man par aisa asar hua। Lagta jagati ke kan-kan mein, Jaise ho vah bhara hua॥
“Kashiram” Baba ka bhakt, Shirdi mein rehta tha। Main Sai ka, Sai mera, Vah duniya se kehta tha॥
Sikar swayam vastra bechta, Gram-nagar baazaron mein। Jhankrit uski hriday tantri thi, Sai ki jhankaron mein॥
Stabdh nisha thi, the soye, Rajni aanchal mein chaand sitaare। Nahi soojhta raha haath ko, Haath timir ke maare॥
Vastra bechkar laut raha tha, Haay! haat se Kashi। Vichitra bada sanyog ki us din, Aata tha ekaaki॥
Gher raah mein khade ho gaye, Use kutil anyaayi। Maaro kaato looto iski hi, Dhvani padi sunayi॥
Loot peetkar use wahaan se, Kutil gaye champat ho। Aaghaaton mein marmaahat ho, Usne di sangya kho ॥
Bahut der tak pada raha vah, Wahin usi haalat mein। Jaane kab kuch hosh ho utha, Wahin uski palak mein॥
Anjaane hi uske munh se, Nikal pada tha Sai। Jiski pratidhvani Shirdi mein, Baba ko padi sunayi॥
Kshubhit ho utha manas unka, Baba gaye vikal ho। Lagta jaise ghatna saari, Ghati unhi ke sanmukh ho॥
Unmaadi se idhar-udhar tab, Baba lage bhatakne। Sanmukh cheezein jo bhi aayi, Unko lagne patakne॥
Aur dhadakte angaron mein, Baba ne apna kar daala। Hue sashankit sabhi wahaan, Lakh taandav nritya niraala॥
Samajh gaye sab log, Ki koi bhakt pada sankat mein। Kshubhit khade the sabhi wahaan, Par pade hue vismay mein॥
Use bachane ki hi khaatir, Baba aaj vikal hai। Uski hi peeda se peedit, Unki antahsthal hai॥
Itne mein hi vivid ne apni, Vichitrita dikhlaayi। Lakh kar jisko janata ki, Shraddha sarita laharayi॥
Lekar sangyahin bhakt ko, Gaadi ek wahaan aayi। Sanmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhen bhar aayi॥
Shaant, dheer, gambheer, sindhu sa, Baba ka antahsthal। Aaj na jaane kyon rah-rahkar, Ho jaata tha chanchal ॥
Aaj daya ki murti swayam tha, Bana hua upchaari। Aur bhakt ke liye aaj tha, Dev bana pratihari॥
Aaj bhakti ki visham pareeksha mein, Saphal hua tha Kashi। Uske hi darshan ki khaatir the, Umde nagar-nivaasi॥
Jab bhi aur jahaan bhi koi, Bhakt pade sankat mein। Uski raksha karne Baba, Aate hain palbhar mein॥
Yug-yug ka hai satya yeh, Nahi koi nayi kahani। Aapatgrast bhakt jab hota, Jaate khud antaryaami॥
Bhed-bhaav se pare pujaari, Maanavta ke the Sai। Jitne pyaare Hindu-Muslim, Utne hi the Sikh Isaayi॥
Bhed-bhaav mandir-masjid ka, Tod-phod Baba ne daala। Raah Rahim sabhi unke the, Krishna Kareem Allaataala॥
Ghante ki pratidhvani se goonja, Masjid ka kona-kona। Mile paraspar Hindu-Muslim, Pyaar badha din-din doona॥
Chamatkaar tha kitna sundar, Parichay is kaaya ne di। Aur neem kadvaahat mein bhi, Mithaas Baba ne bhar di॥
Sab ko sneh diya Sai ne, Sabko santul pyaar kiya. Jo kuchh jisne bhi chaaha, Baba ne usko vahi diya॥
Aise snehsheel bhajan ka, Naam sada jo japa kare. Parvat jaisa dukh na kyon ho, Palbhar mein vah door tare॥
Sai jaisa daata hum, Are nahin dekha koi. Jiske keval darshan se hi, Saari vipda door gayi॥
Tan mein Sai, man mein Sai, Sai-Sai bhaja karo. Apne tan ki sudhi-budhi khokar, Sudhi uski tum kiya karo॥
Jab tu apni sudhi taj, Baba ki sudhi kiya karega. Aur raat-din Baba-Baba, Hi tu rata karega॥
To Baba ko are! vivash ho, Sudhi teri leni hi hogi. Teri har ichha Baba ko, Puri hi karni hogi॥
Jangal, jangal bhatak na pagal, Aur dhoondhne Baba ko. Ek jagah keval Shirdi mein, Tu payega Baba ko॥
Dhanya jagat mein prani hai vah, Jisne Baba ko paaya. Dukh mein, sukh mein prahar aath ho, Sai ka hi gun gaya॥
Gire sankaton ke parvat, Chahe bijli hi toot pade. Sai ka le naam sada tum, Sanmukh sab ke raho ade॥
Is boodhe ki sun karamat, Tum ho jaoge hairaan. Dang rah gaye sunkar jisko, Jaane kitne chatur sujaan॥
Ek baar Shirdi mein saadhu, Dhongi tha koi aaya. Bholi-bhali nagar-nivasi, Janta ko tha bharmaaya॥
Jadi-bootiyan unhein dikhakar, Karne laga vah bhaashan. Kehne laga suno shrotagan, Ghar mera hai Vrindavan॥
Aushadhi mere paas ek hai, Aur ajab isme shakti. Iske sevan karne se hi, Ho jaati dukh se mukti॥
Agar mukt hona chaho, Tum sankat se bimari se. To hai mera namr nivedan, Har nar se, har naari se॥
Lo kharid tum isko, Iski sevan vidhiyaan hain nyaari. Yadyapi tuchchh vastu hai yeh, Gun uske hain ati bhaari॥
Jo hai santati heen yahan yadi, Meri aushadhi ko khaye. Putra-ratna ho prapt, Are vah munh maanga phal paye॥
Aushadhi meri jo na kharide, Jeevan bhar pachtayega. Mujh jaisa prani shayad hi, Are yahan aa payega॥
Duniya do dinon ka mela hai, Mauj shauk tum bhi kar lo. Agar isse milta hai, Sab kuchh, tum bhi isko le lo॥
Hairani badhti janta ki, Lakh iski kaarastani. Pramudit vah bhi man-hi-man tha, Lakh logon ki nadani॥
Khabar sunane Baba ko yeh, Gaya daudkar sevak ek. Sunkar bhrikuti tani aur, Vismaran ho gaya sabhi vivek॥
Hukm diya sevak ko, Satvar pakad dusht ko laao. Ya Shirdi ki seema se, Kapati ko door bhagao॥
Mere rahte bholi-bhali, Shirdi ki janta ko. Kaun neech aisa jo, Sahas karta hai chhalne ko॥
Palbhar mein aise dhongi, Kapati neech lutere ko. Mahaanash ke mahagart mein pahuncha doon, Jeevan bhar ko॥
Tanik mila aabhas madari, Kroor, kutil anyaayi ko. Kaal naachta hai ab sir par, Gussa aaya Sai ko॥
Palbhar mein sab khel band kar, Bhaga sir par rakkar pair. Soch raha tha man hi man, Bhagwan nahin hai ab khair॥
Sach hai Sai jaisa daani, Mil na sakega jag mein. Ansh Eesh ka Sai Baba, Unhein na kuchh bhi mushkil jag mein॥
Sneha, sheel, saujanya adi ka, aabhushan dharan kar. Badhata is duniya mein jo bhi, maanav seva ke path par॥
Vahi jeet leta hai jagati ke, jan jan ka antahsthal. Uski ek udaasi hi, jag ko kar deti hai vihval॥
Jab-jab jag mein bhaar paap ka, badh-badh hi jaata hai. Use mitane ki hi khaatir, avataari hi aata hai॥
Paap aur anyaay sabhi kuchh, is jagati ka har ke. Door bhaga deta duniya ke, daanav ko kshan bhar ke॥
Sneha sudha ki dhaar barasne, lagti hai is duniya mein. Gale paraspar milne lagte, hain jan-jan aapas mein॥
Aise avataari saai, mrityulok mein aakar. Samata ka yeh path padhaaya, sabko apna aap mitaakar॥
Naam Dwaarka Masjid ka, rakha Shirdi mein saai ne. Daap, taap, santaap mitaaya, jo kuchh aaya saai ne॥
Sada yaad mein mast Ram ki, baithe rahte the saai. Pahar aath hi Ram naam ko, bhajate rahte the saai॥
Sookhi-rookhi taazi baasi, chahe ya hove pakvaan. Sauda pyaar ke bhookhe saai ki, khaatir the sabhi samaan॥
Sneha aur shraddha se apni, jan jo kuchh de jaate the. Bade chaav se us bhojan ko, baba paavan karte the॥
Kabhi-kabhi man behlaane ko, baba baag mein jaate the. Pramudit man mein nirakh prakriti, chhata ko ve hote the॥
Rang-birange pushp baag ke, mand-mand hil-dul karke. Beehad veeraane man mein bhi, sneha salil bhar jaate the॥
Aisi samudhur bela mein bhi, dukh aapaat, vipda ke maare. Apne man ki vyatha sunaane, jan rahte baba ko ghere॥
Sunkar jinki karunakatha ko, nayan kamal bhar aate the. De vibhooti har vyatha, shaanti, unke ur mein bhar dete the॥
Jaane kya adbhut shakti, us vibhooti mein hoti thi. Jo dhaaran karte mastak par, dukh saara har leti thi॥
Dhanya manuj ve saakshaat darshan, jo baba saai ke paaye. Dhanya kamal kar unke jinse, charan-kamal ve parsaaye॥
Kaash nirbhay tumko bhi, saakshaat saai mil jaata. Varshon se ujda chaman apna, phir se aaj khil jaata॥
Gar pakadta main charan shri ke, nahin chhodta umr bhar. Mana leta main zaroor unko, gar roothte saai mujh par॥
Shri Mandir Sahitya mein paayein sabhi mangalmay chaalisa ka sangrah।
Did you like this article?
Read Hanuman Chalisa in English. Explore 40 verses praising Lord Hanuman’s strength and devotion. Perfect for all Bajrang Bali devotees!
Read Ram Chalisa in English. Explore 40 verses praising Lord Ram’s virtues, strength, and divine blessings. Perfect for all Shri Ram devotees!
Read Chamunda Chalisa in English. Explore 40 verses praising Goddess Chamunda’s strength, protection, and divine power. Perfect for all Maa Chamunda devotees!